5 Hadith paak
- Huzoor(SWA)ne farmaya.ke jis khane par Allah ka name zikar na kiya ho.woh bimari he. aur us mai barkat nahi he. Aur uska kaffara yah he ke agar abhi dastrkhaan na uthya gaya ho to bismiallah padh kar kuch khale aur dastrkhaan utha liya gaya ho to bismiallah padh kar ungliyan chaat le.
- Nabi e Kareem (SWA) ne ungliyan aur Bartan chaatne ka hukum diya aur yeh farmaya ke tumhen maloom nahi ke khane ke kis hisse mai barkat he.
- Huzoor(SWA)irshad farmaya:khane ko thanda kar liya Karo ke garam khane mai barkat nahi he.
- Huzoor(SWA)ne farmaya koi shakhs(aadmi)na bayen hath se khana khaye na paani piye ke hath se khana pina shaitaan ka tariqah he.
- Rasul Allah(SWA)ne farmaya ke jis khane par bismiallah na padhi jaye shaitaan ke liye woh khana halaal ho jata he yani bismiallah na padhne ki surat mai shaitaan us khane mai shareek ho jata.
0 Comments