M Jamali by السلام علیکم✍️welcome✍️ Adab khane ka

Adab khane ka

    

   Khana khane ke aadab aur sunan 

  1. Mas ala. Khane se(1) pehale aur bad Mai haath dhona.
  2. Mas ala.sunnat ya he. ke khane se pehale dono haath gatto tak dhoye jaye.khane ke baad bhi dono haath gatto tak dhoye.kuch log sirif Ek haath dholete he ya sirif ungliyan dholete hen. Blake sirif chutki dhone par kifayat karte hen.is se sunnat Ada nahi hoti.
  3. Mas ala.musthab ya he.ke haath dhote waqat khud apne haath se pani dale dusre se is mai madad na le.yani is ka wohi hukum he jo wuzo ka he.
  4. Mas ala.khane ke baad achchi tarah haath dhoye ke khane ka asar baqi na rahe.bhusi ya aate ya baisan se haath dhone mai haraj nahi. is zamane mai sabun se haath dhone ka riwaj he is mai bhi haraj nahi.
  5. Mas ala.aur bartan ko ungliyo se ponch kar chaat le.hadise mai he khane ke baad jo shakhas(aadmi)bartan chaat ta he to bartan us ke liye dua kar ta he.ke Allah tujhe jahannam ki aag se azad Kare jis tarah tune mujhe shaitaan se azad kiya! Ek riwayat mai he bartan us ke liye(istigfaar) karta he.

Post a Comment

0 Comments